dete hain jaam-e-shahaadat mujhe maaloom na tha
hai ye aaeen-e-mohabbat mujhe maaloom na tha
matlab-e-chashm-e-murawwat mujhe maaloom na tha
tujh ko mujh se thi shikaayat mujhe maaloom na tha
chashm-e-khaamosh ki baabat mujhe maaloom na tha
ye bhi hai harf-o-hikaayat mujhe maaloom na tha
bas mein hai mashiyyat ke aqueeda tha mira
us ke bas mein hai mashiyyat mujhe maaloom na tha
haft-khwan jis ne kiye tay sar-e--e-tasleem
toot jaati hai wo himmat mujhe maaloom na tha
aaj har quatra-e-mai ban gaya ik chingaari
thi ye saaqui ki sharaarat mujhe maaloom na tha
nigah-e-mast ne talwaar utha li sar-e-bazm
yoon badal jaati hai niyyat mujhe maaloom na tha
gham-e-hasti se jo bezaar raha main ik umr
tujh se bhi thi use nisbat mujhe maaloom na tha
ishq bhi ahal-e-tareeqat mein hai aisa tha khayaal
ishq hai peer-e-tareeqat mujhe maaloom na tha
poochh mat sharah-karam-ha-e-azeezan hamdam
un mein itni thi sharaafat mujhe maaloom na tha
jab se dekha hai tujhe mujh se hai meri an-ban
husn ka rang-e-siyaasat mujhe maaloom na tha
shakl insaan ki ho chaal bhi insaan ki ho
yoon bhi aati hai quayaamat mujhe maaloom na tha
sar-e-maamoora-e-aalam ye dil-e-khana-kharaab
mit gaya teri badaulat mujhe maaloom na tha
parda-e-arz-e-wafa mein bhi raha hoon karta
tujh se main apni hi gheebat mujhe maaloom na tha
naqd-e-jan kya hai zamaane mein mohabbat hamdam
nahi milti kisi queemat mujhe maaloom na tha
ho gaya aaj rafeequon se gale mil ke juda
apna khud ishq-e-sadaaqat mujhe maaloom na tha
dard dil kya hai khula aaj tire ladne par
tujh se itni thi mohabbat mujhe maaloom na tha
dam nikal jaae magar dil na lagaae koi
ishq ki ye thi wasiyyat mujhe maaloom na tha
husn waalon ko bahut sahal samajh rakkha tha
tujh pe aaegi tabeeat mujhe maaloom na tha
kitni khallaaque hai ye neesti-e-ishq firaaque
us se hasti hai ibaarat mujhe maaloom na tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.