daur-e-aaghaaz-e-jafa ka sahaara nikla
hausla kuchh na hamaara na tumhaara nikla
tera naam aate hi sakte ka tha aalam mujh par
jaane kis tarah ye mazkoor dobaara nikla
hosh jaata hai jigar jaata hai dal jaata hai
parde hi parde mein kya tera ishaara nikla
hai tire kashf-o-karaamaat ki duniyaa quail
tujh se ai na magar kaam hamaara nikla
kitne saffaak sar-e-quatl-gah-e-aalam the
laakhon mein bas wahi allaah ka pyara nikla
ibrat-angez hai kya us ki jawan-margi bhi
haae wo dil jo hamaara na tumhaara nikla
ishq ki lau se farishton ke bhi par jalte hain
rashk-e-khursheed-e-quayaamat ye sharaara nikla
sar-b-sar be-sar-o-saaman jise samjhe the wo dil
rashk-e-jamshed-o-kai-o-khusro-o-daara nikla
rone waale hue chup hijr ki duniyaa badli
shama be-noor hui subh ka taara nikla
ungaliyan utthin firaaque-e-watan-aawaara par
aaj jis samt se wo dard ka maara nikla
Responses
No comments yet. Be the first to respond.