chhalak ke kam na ho aisi koi sharaab nahi
-e-nargis-e-raana tira jawaab nahi
zameen jaag rahi hai ki inqalaab hai kal
wo hai koi zarra bhi mahaw-e-khawaab nahi
hayaat-e-dard hui ja rahi hai kya hoga
ab is nazar ki duaaein bhi mustajaab nahi
zameen us ki falak us ka kaaenaat us ki
kuchh aisa ishq tira khaanuman-kharaab nahi
abhi kuchh aur ho insaan ka lahoo paani
abhi hayaat ke chehre par aab-o-taab nahi
jahan ke baab mein tar daamnon ka quaul ye hai
ye mauj maarta dariya koi saraab nahi
dikha toh deti hai behtar hayaat ke sapne
kharaab ho ke bhi ye zindagi kharaab nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.