be-thikaane hai -e-gham-gin thikaane ki kaho
shaam-e-hijran dosto kuchh is ke aane ki kaho
han na poochh ik giraftaar-e-quafas ki
ham-safeeraan-e-chaman kuchh aashiyaane ki kaho
ud gaya hai manzil-e-dushwaar mein gham ka samand
gesoo-e-pur-e-pech-o-kham ke taaziyaane ki kaho
baat banti aur baaton se nazar aati nahi
is nigaah-e-naaz ki baatein banaane ki kaho
daastan wo thi jise dil bujhte bujhte kah gaya
sham-e-bazm-e-zindagi ke jhilmilaane ki kaho
kuchh dil-e-marhoom ki baatein karo ai ahal-e-ilm
jis se weeraane the aabaad us diwaane ki kaho
daastaan-e-zindagi bhi kis quadar dilchasp hai
jo azal se chhid gaya hai us fasaane ki kaho
ye phusoon-e-neem-e-shab ye khawaab-saaman khaamushi
saamri fan aankh ke jaadoo jagaane ki kaho
koi kya khaaega yoon sachchi quasam jhooti quasam
us nigaah-e-naaz ki saugandh khaane ki kaho
shaam hi se gosh-bar-aawaaz hai bazm-e-sukhan
kuchh firaaque apni sunaao kuchh zamaane ki kaho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.