bastiyan dhoondh rahi hain unhein weeraanon mein
wahashtein badh gain had se tire deewaanon mein
nigah-e-naaz na deewaanon na farzaanon mein
jaankaar ek wahi hai magar an-jaanon mein
bazm-e-mai be-khud-o-be-taab na kyoon ho saaqui
mauj-e-baada hai ki uthta hai paimaanon mein
main toh main chaunk uthi hai ye faza-e-khaamosh
ye sada kab ki suni aati hai phir kaanon mein
sair kar ujde dilon ki jo tabeeat hai udaas
ji bahal jaate hain aksar inhin weeraanon mein
wusaatein bhi hain nihan tangi-e- mein ghaafil
ji bahal jaate hain aksar inhin maidaanon mein
jaan imaan-e-junoon silsila jumbaan-e-junoon
kuchh kashish-ha-e-nihan jazb hain weeraanon mein
khanda-e-subh-e-azal teergi-e-shaam-e-abad
donon aalam hain chhalakte hue paimaanon mein
dekh jab aalam-e-hoo ko toh naya aalam hai
bastiyan bhi nazar aane lagin weeraanon mein
jis jagah baith gae aag laga kar utthe
garmiyan hain kuchh abhi sokhta-saamaanon mein
wahashtein bhi nazar aati hain sar-e-parda-e-naaz
daamnon mein hai ye aalam na garebaanon mein
ek rangeeni-e-zaahir hai gulistan mein agar
ek shaadaabi-e-pinhan hai bayaabaanon mein
jauhar-e-ghuncha-o-gul mein hai ik andaaz-e-junoon
kuchh bayaaban nazar aae hain garebaanon mein
ab wo rang-e-chaman-o-khanda-e-gul bhi na rahe
ab wo aasaar-e-junoon bhi nahi deewaanon mein
ab wo saaqui ki bhi aankhein na rahin rindon mein
ab wo saaghar bhi chhalakte nahi mai-khaanon mein
ab wo ik soz-e-nihaani bhi dilon mein na raha
ab wo jalwe bhi nahi ishq ke kaashaanon mein
ab na wo raat jab ummeedein bhi kuchh thin tujh se
ab na wo baat gham-e-hijr ke afsaanon mein
ab tira kaam hai bas ahal-e-wafa ka paana
ab tira naam hai bas ishq ke gham-khaanon mein
ta-b-kai waada-e-mauhoom ki tafseel firaaque
shab-e-furqat kahin katti hai in afsaanon mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.