bahut pahle se un quadmon ki aahat jaan lete hain
tujhe ai ham door se pahchaan lete hain
miri nazrein bhi aise quatilon ka jaan o iman hain
nigaahein milte hi jo jaan aur imaan lete hain
jise kahti hai duniyaa kaamyaabi waae naadaani
use kin queemton par kaamyaab insaan lete hain
-e-baada-goon yoon toh tiri baaton ka kya kahna
tiri har baat lekin ehtiyaatan chhaan lete hain
tabeeat apni ghabraati hai jab sunsaan raaton mein
ham aise mein tiri yaadon ki chaadar taan lete hain
khud apna faisla bhi ishq mein kaafi nahi hota
use bhi kaise kar guzrein jo dil mein thaan lete hain
hayaat-e-ishq ka ik ik nafas jaam-e-shahaadat hai
wo jaan-e-naaz-bardaaran koi aasaan lete hain
ham-aahangi mein bhi ik chaashni hai ikhtilaafon ki
miri baatein b-unwaan-e-digar wo maan lete hain
tiri maqubooliyat ki wajh waahid teri ramziyyat
ki us ko maante hi kab hain jis ko jaan lete hain
ab is ko kufr maanein yaa bulandi-e-nazar jaanein
khuda-e-do-jahan ko de ke ham insaan lete hain
jise soorat bataate hain pata deti hai seerat ka
ibaarat dekh kar jis tarah maani jaan lete hain
tujhe ghaata na hone denge kaarobaar-e-ulfat mein
ham apne sar tira ai dost har ehsaan lete hain
hamaari har nazar tujh se nai saugandh khaati hai
toh teri har nazar se ham naya paimaan lete hain
rafeeque-e-zindagi thi ab anees-e-waqt-e-aakhir hai
tira ai maut ham ye doosra ehsaan lete hain
zamaana waardaat-e-qualb sunne ko tarasta hai
isi se toh sar aankhon par mira deewaan lete hain
firaaque aksar badal kar bhes milta hai koi kaafir
kabhi ham jaan lete hain kabhi pahchaan lete hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.