apne ka mujhe kahan gham hai
ai ki teri khushi muqaddam hai
mein jo pada wo aag hua
husn-e-soz-e-nihan mujassam hai
us ke shaitaan ko kahan taufeeque
ishq karna gunaah-e-aadam hai
dil ke dhadkon mein zor-e-zarb-e-kaleem
kis quadar is habaab mein dam hai
hai wahi ishq zinda-o-jaawed
jise aab-e-hayaat bhi sam hai
is mein thahraaw yaa sukoon kahan
zindagi inqalaab-e-paiham hai
ik tadap mauj-e-tah-nashin ki tarah
zindagi ki bina-e-mohkam hai
rahti duniyaa mein ishq ki duniyaa
nae unwaan se munazzam hai
uthne waali hai bazm maazi ki
raushani kam hai zindagi kam hai
ye bhi nazm-e-hayaat hai koi
zindagi zindagi ka maatam hai
ik muamma hai zindagi ai dost
ye bhi teri ada-e-mubham hai
ai mohabbat tu ik azaab sahi
zindagi be tire jahannam hai
ik talaatum sa rang-o-nikhat ka
paikar-e-naaz mein dama-dam hai
phirne ko hai raseeli neem-nigaah
aahoo-e-naaz maail-e-raam hai
roop ke jot zer-e-pairaahan
gulsitan par rida-e-shabnam hai
mere seene se lag ke so jaao
palkein bhaari hain raat bhi kam hai
aah ye meharbaaniyan teri
shaadmaani ki aankh pur-nam hai
narm o dosheeza kis quadr hai nigaah
har nazar daastaan-e-maryam hai
mehar-o-mah shola-ha-e-saaz-e-jamaal
jis ki jhankaar itni maddham hai
jaise uchhle junoon ki pahli shaam
is ada se wo zulf barham hai
yoon bhi dil mein nahi wo pahli umang
aur teri nigaah bhi kam hai
aur kyoon chhedti hai gardish-e-charkh
wo nazar phir gai ye kya kam hai
roo-kash-e-sad-hareem-e-dil hai faza
wo jahan hain ajeeb aalam hai
diye jaati hai lau sada-e-firaaque
han wahi soz-o-saaz kam kam hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.