ab daur-e-aasman hai na daur-e-hayaat hai
ai -e-hijr tu hi bata kitni raat hai
har kaaenaat se ye alag kaaenaat hai
hairat-sara-e- mein din hai na raat hai
jeena jo aa gaya toh ajal bhi hayaat hai
aur yoon toh umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai
kyoon intiha-e-hosh ko kahte hain be-khudi
khursheed hi ki aakhiri manzil toh raat hai
hasti ko jis ne zalazla-saaman bana diya
wo dil quaraar paae muqaddar ki baat hai
ye mushgaafiyan hain giran tab-e-ishq par
kis ko dimaagh-e-kaawish-e-zaat-o-sifaat hai
toda hai la-makan ki hadon ko bhi ishq ne
zindaan-e-aql teri toh kya kaaenaat hai
gardoon sharaar-e-barque-e-dil-e-be-quaraar dekh
jin se ye teri taaron bhari raat raat hai
gum ho ke har jagah hain z-khud raftagaan-e-ishq
un ki bhi ahal-e-kashf-o-karaamaat zaat hai
hasti b-juz fanaa-e-musalsal ke kuchh nahi
phir kis liye ye fikr-e-quaraar-o-sabaat hai
us jaan-e-dosti ka khuloos-e-nihan na poochh
jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai
yoon toh hazaar dard se rote hain bad-naseeb
tum dil dukhaao waqt-e-museebat toh baat hai
unwaan ghafalton ke hain qurbat ho yaa wisaal
bas fursat-e-hayaat firaaque ek raat hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.