ab aksar chup chup se rahein hain yoonhi kabhoo lab kholein hain
pahle firaaque ko dekha hota ab toh bahut kam bolein hain
din mein ham ko dekhne waalo apne apne hain auquat
jaao na tum in khushk aankhon par ham raaton ko ro lein hain
fitrat meri -o-mohabbat quismat meri tanhaai
kahne ki naubat hi na aai ham bhi kisoo ke ho lein hain
khunuk siyah mahke hue saae phail jaaein hain jal-thal par
kin jatnon se meri ghazlein ka jooda kholein hain
baagh mein wo khawaab-aawar aalam mauj-e-saba ke ishaaron par
daali daali nauras patte sahaj sahaj jab dolein hain
uf wo labon par mauj-e-tabassum jaise karawtein lein kaunde
haae wo aalam-e-jumbish-e-mizgan jab fitne par taulein hain
naqsh-o-nigaar-e-ghazal mein jo tum ye shaadaabi paao ho
ham ashkon mein kaaenaat ke nok-e-qualam ko dubo lein hain
in raaton ko hareem-e-naaz ka ik aalam hue hai nadeem
khalwat mein wo narm ungaliyan band-e-quaba jab kholein hain
gham ka fasaana sunne waalo aakhir-e-shab aaraam karo
kal ye kahaani phir chhedenge ham bhi zara ab so lein hain
ham log ab toh ajanbi se hain kuchh toh bataao haal-e-firaaque
ab toh tumhin ko pyar karein hain ab toh tumhin se bolein hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.