aaj bhi quafila-e- rawan hai ki jo tha
wahi meel aur wahi sang-e-nishan hai ki jo tha
phir tira wahi ruswa-e-jahan hai ki jo tha
phir fasaana b-hadees-e-digran hai ki jo tha
manzilein gard ke maanind udi jaati hain
wahi andaaz-e-jahaan-e-guzran hai ki jo tha
zulmat o noor mein kuchh bhi na mohabbat ko mila
aaj tak ek dhundalke ka saman hai ki jo tha
yoon toh is daur mein be-kaif si hai bazm-e-hayaat
ek hangaama sar-e-ritl-e-giran hai ki jo tha
laakh kar jaur-o-sitam laakh kar ehsaan-o-karam
tujh pe ai dost wahi waham-o-guman hai ki jo tha
aaj phir ishq do-aalam se juda hota hai
aasteenon mein liye kaun-o-makan hai ki jo tha
ishq afsurda nahi aaj bhi afsurda bahut
wahi kam kam asar-e-soz-e-nihan hai ki jo tha
nazar aa jaate hain tum ko toh bahut naazuk baal
dil mira kya wahi ai sheesha-giran hai ki jo tha
jaan de baithe the ik baar hawas waale bhi
phir wahi marahla-e-sood-o-ziyan hai ki jo tha
aaj bhi said-gah-e-ishq mein husan-e-saffaak
liye abroo ki lachakti si kaman hai ki jo tha
phir tiri chashm-e-sukhan-sanj ne chhedi koi baat
wahi jaadoo hai wahi husn-e-bayan hai ki jo tha
raat bhar husn par aae bhi gae sau sau rang
shaam se ishq abhi tak nigran hai ki jo tha
jo bhi kar jaur-o-sitam jo bhi kar ehsaan-o-karam
tujh pe ai dost wahi waham-o-guman hai ki jo tha
aankh jhapki ki idhar khatm hua roz-e-wisaal
phir bhi is din pe quayaamat ka guman hai ki jo tha
qurb hi kam hai na doori hi ziyaada lekin
aaj wo rabt ka ehsaas kahan hai ki jo tha
teera-bakhti nahi jaati dil-e-sozan ki firaaque
shama ke sar pe wahi aaj dhuan hai ki jo tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.