yoon saja ki jhalka tire andaaz ka rang
yoon faza mahki ki badla mire hamraaz ka rang
saaya-e-chashm mein hairan rukh-e-raushan ka
surkhi-e-lab mein pareshan tiri aawaaz ka rang
be-piye hoon ki agar lutf karo aakhir-e-shab
sheesha-e-mai mein dhale subh ke aaghaaz ka rang
chang o nay rang pe the apne lahoo ke dam se
dil ne lay badli toh maddham hua har saaz ka rang
ik sukhan aur ki phir rang-e-takallum tera
harf-e-saada ko inaayat kare ejaaz ka rang
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai