ye kis khalish ne phir is mein aashiyana kiya
phir aaj kis ne ham se ghaaebaana kiya
gham-e-jahan ho rukh-e-yaar ho ki dast-e-adoo
sulook jis se kiya ham ne aashiquana kiya
the khaak-e-raah bhi ham log quahar-e-toofan bhi
saha toh kya na saha aur kiya toh kya na kiya
khusha ki aaj har ik muddai ke lab par hai
wo raaz jis ne hamein raanda-e-zamaana kiya
wo heela-gar jo wafa-joo bhi hai jafa-khoo bhi
kiya bhi faiz toh kis but se dostaana kiya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai