ye jafa-e- ka chaara wo najaat-e-dil ka aalam
tira dast-e-isa tiri yaad roo-e-maryam
dil o jan fida-e-raahe kabhi aa ke dekh hamdam
sar-e-koo-e-dil-figaaran shab-e-aarzoo ka aalam
tiri deed se siwa hai tire shauque mein bahaaran
wo chaman jahan giri hai tire gesuon ki shabnam
ye ajab quayaamtein hain tire rahguzar mein guzran
na hua ki mar mitein ham na hua ki ji uthein ham
lo suni gai hamaari yoon phire hain din ki phir se
wahi gosha-e-quafas hai wahi fasl-e-gul ka maatam
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai