wo buton ne daale hain wasawse ki dilon se khauf-e- gaya
wo padi hain roz quayaamtein ki khayaal-e-roz-e-jaza gaya
jo nafas tha khaar-e-guloo bana jo uthe the haath lahoo hue
wo nashaat-e-aah-e- gai wo waquar-e-dast-e-dua gaya
na wo rang fasl-e-bahaar ka na rawish wo abr-e-bahaar ki
jis ada se yaar the aashna wo mizaaj-e-baad-e-saba gaya
jo talab pe ahad-e-wafa kiya toh wo aabroo-e-wafa gai
sar-e-aam jab hue muddai toh sawaab-e-sidaque-o-safa gaya
abhi baadbaan ko tah rakho abhi muztarib hai rukh-e-hawa
kisi raaste mein hai muntazir wo sukoon jo aa ke chala gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai