sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi raahtein sabhi kulfatein
kabhi sohabtein kabhi furqatein kabhi dooriyan kabhi qurbatein
ye sukhan jo ham ne raqam kiye ye hain sab waraque tiri ke
koi lamha subh-e-wisaal ka koi shaam-e- ki muddatein
jo tumhaari maan lein naaseha toh rahega daaman-e-dil mein kya
na kisi adoo ki adaawtein na kisi sanam ki murawwatein
chalo aao tum ko dikhaaein ham jo bacha hai maqtal-e-shahar mein
ye mazaar ahal-e-safa ke hain ye hain ahal-e-sidque ki turbatein
miri jaan aaj ka gham na kar ki na jaane kaatib-e-waqt ne
kisi apne kal mein bhi bhool kar kahin likh rakhi hon masarratein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai