rang pairaahan ka zulf lahraane ka naam
mausam-e- hai tumhare baam par aane ka naam
dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair
gulsitan ki baat rangin hai na mai-khaane ka naam
phir nazar mein phool mahke dil mein phir shamaein jalin
phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka naam
dilabri thahra zabaan-e-khalque khulwaane ka naam
ab nahi lete pari-roo zulf bikhraane ka naam
ab kisi laila ko bhi iquraar-e-mahboobi nahi
in dinon badnaam hai har ek deewaane ka naam
mohatsib ki khair ooncha hai usi ke faiz se
rind ka saaqui ka mai ka khum ka paimaane ka naam
ham se kahte hain chaman waale ghareebaan-e-chaman
tum koi achchha sa rakh lo apne weeraane ka naam
faiz un ko hai taquaza-e-wafa ham se jinhein
aashna ke naam se pyara hai begaane ka naam
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai