aazmaane ke din aa rahe hain
quareeb un ke aane ke din aa rahe hain
jo se kaha hai jo dil se suna hai
sab un ko sunaane ke din aa rahe hain
abhi se dil o jan sar-e-raah rakh do
ki lutne lutaane ke din aa rahe hain
tapakne lagi un nigaahon se masti
nigaahein churaane ke din aa rahe hain
saba phir hamein poochhti phir rahi hai
chaman ko sajaane ke din aa rahe hain
chalo faiz phir se kahin dil lagaaein
suna hai thikaane ke din aa rahe hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai