na ganwaao naawak-e-neem-kash -e-reza-reza ganwa diya
jo bache hain sang samet lo tan-e-daagh-daagh luta diya
mire chaara-gar ko nawed ho saf-e-dushmanan ko khabar karo
jo wo quarz rakhte the jaan par wo hisaab aaj chuka diya
karo kaj jabin pe sar-e- mire quatilon ko guman na ho
ki ghuroor-e-ishq ka baankapan pas-e-marg ham ne bhula diya
udhar ek harf ki kushtani yahan laakh uzr tha guftani
jo kaha toh sun ke uda diya jo likha toh padh ke mita diya
jo ruke toh koh-e-giran the ham jo chale toh jan se guzar gae
rah-e-yaar ham ne quadam quadam tujhe yaadgaar bana diya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai