na ab raqueeb na naaseh na -gusaar koi
tum aashna the toh thin aashnaaiyan kya kya
juda the ham toh mayassar thin qurbatein kitni
baham hue toh padi hain judaaiyan kya kya
pahunch ke dar pe tire kitne motbar thahre
agarche rah mein huin jag-hansaaiyan kya kya
ham aise saada-dilon ki -mandi se
buton ne ki hain jahan mein khudaaiyan kya kya
sitam pe khush kabhi lutf-o-karam se ranjeeda
sikhaain tum ne hamein kaj-adaaiyan kya kya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai