kuchh pahle in aankhon aage kya kya na nazaara guzre tha
kya raushan ho jaati thi gali jab yaar hamaara guzre tha
the kitne achchhe log ki jin ko apne se fursat thi
sab poochhein the ahwaal jo koi ka maara guzre tha
ab ke khizan aisi thahri wo saare zamaane bhool gae
jab mausam-e-gul har phere mein aa aa ke dobaara guzre tha
thi yaaron ki bohtaat toh ham aghyaar se bhi bezaar na the
jab mil baithe toh dushman ka bhi saath gawaara guzre tha
ab toh haath sujhaai na dewe lekin ab se pahle toh
aankh uthte hi ek nazar mein aalam saara guzre tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai