kuchh mohatsibon ki khalwat mein kuchh waaiz ke ghar jaati hai
ham baada-kashon ke hisse ki ab jaam mein kam-tar jaati hai
yoon arz-o-talab se kam ai patthar dil paani hote hain
tum laakh raza ki khoo daalo kab khoo-e-sitamgar jaati hai
bedaad-garon ki basti hai yan daad kahan khairaat kahan
sar phodti phirti hai naadan fariyaad jo dar dar jaati hai
han jan ke ziyan ki ham ko bhi tashweesh hai lekin kya keeje
har rah jo udhar ko jaati hai maqtal se guzar kar jaati hai
ab koocha-e-dil-bar ka rah-rau rahzan bhi bane toh baat bane
pahre se adoo talte hi nahi aur baraabar jaati hai
ham ahal-e-quafas tanha bhi nahi har roz naseem-e-subh-e-watan
yaadon se moattar aati hai ashkon se munawwar jaati hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai