kab thahrega ai dil kab raat basar hogi
sunte the wo aaenge sunte the hogi
kab jaan lahoo hogi kab ashk guhar hoga
kis din tiri shunwaai ai deeda-e-tar hogi
kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega maikhaana
kab subh-e-sukhan hogi kab shaam-e-nazar hogi
waaiz hai na zaahid hai naaseh hai na quatil hai
ab shahar mein yaaron ki kis tarah basar hogi
kab tak abhi rah dekhein ai quamat-e-jaanaana
kab hashr muayyan hai tujh ko toh khabar hogi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai