himmat-e-iltija nahi baaqui
zabt ka hausla nahi baaqui
ik tiri deed chhin gai mujh se
warna duniyaa mein kya nahi baaqui
apni mashque-e-sitam se haath na kheench
main nahi yaa wafa nahi baaqui
teri chashm-e-alam-nawaaz ki khair
mein koi gila nahi baaqui
ho chuka khatm ahad-e--o-wisaal
zindagi mein mazaa nahi baaqui
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai