hamin se apni nawa ham-kalaam hoti rahi
ye tegh apne lahoo mein niyaam hoti rahi
muquabil-e-saf-e-aada jise kiya aaghaaz
wo jang apne hi mein tamaam hoti rahi
koi maseeha na ifa-e-ahad ko pahuncha
bahut talaash pas-e-quatl-e-aam hoti rahi
ye barahman ka karam wo ata-e-shaikh-e-haram
kabhi hayaat kabhi mai haraam hoti rahi
jo kuchh bhi ban na pada faiz lut ke yaaron se
toh rahaznon se -o-salaam hoti rahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai