ham par tumhaari chaah ka ilzaam hi toh hai
dushnaam toh nahi hai ye ikraam hi toh hai
karte hain jis pe taan koi jurm toh nahi
shauque-e-fuzool o ulfat-e-naakaam hi toh hai
muddai ke harf-e-malaamat se shaad hai
ai jaan-e-jan ye harf tira naam hi toh hai
naa-umeed toh nahi naakaam hi toh hai
lambi hai gham ki shaam magar shaam hi toh hai
dast-e-falak mein gardish-e-taqudeer toh nahi
dast-e-falak mein gardish-e-ayyaam hi toh hai
aakhir toh ek roz karegi nazar wafa
wo yaar-e-khush-khisaal sar-e-baam hi toh hai
bheegi hai raat faiz ghazal ibtida karo
waqt-e-sarod dard ka hangaam hi toh hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai