hairan hai jabin aaj kidhar sajda rawa hai
sar par hain awand sar-e-arsh khuda hai
kab tak ise seenchoge tamannaa-e-samar mein
ye ka pauda toh na phoola na phala hai
milta hai khiraaj us ko tiri naan-e-jawin se
har baadshah-e-waqt tire dar ka gada hai
har ek uquoobat se hai talkhi mein sawa-tar
wo rang jo naa-karda gunaahon ki saza hai
ehsaan liye kitne maseeha-nafson ke
kya keejiye dil ka na jala hai na bujha hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai