go sab ko baham saaghar o baada toh nahi tha
ye shahar itna ziyaada toh nahi tha
galiyon mein phira karte the do chaar diwaane
har shakhs ka sad chaak labaada toh nahi tha
manzil ko na pahchaane rah-e- ka raahi
naadan hi sahi aisa bhi saada toh nahi tha
thak kar yoonhi pal bhar ke liye aankh lagi thi
so kar hi na utthein ye iraada toh nahi tha
waaiz se rah-o-rasm rahi rind se sohbat
farque in mein koi itna ziyaada toh nahi tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai