donon teri mohabbat mein haar ke
wo ja raha hai koi shab-e- guzaar ke
weeran hai mai-kada khum-o-saaghar udaas hain
tum kya gae ki rooth gae din bahaar ke
ik fursat-e-gunaah mili wo bhi chaar din
dekhe hain ham ne hausle parwardigaar ke
duniyaa ne teri yaad se begaana kar diya
tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke
bhoole se muskura toh diye the wo aaj faiz
mat poochh walawle dil-e-naa-karda-kaar ke
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai