nikle kisi jaanib tiri zebaai ka
rang badle kisi soorat shab-e- ka
daulat-e-lab se phir ai khusraw-e-sheerin-dahnan
aaj arzan ho koi harf shanaasaai ka
garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badnan
tazkira chhede tiri pairhan-aaraai ka
sehan-e-gulshan mein kabhi ai shah-e-shamshaad-quadan
phir nazar aae saleequa tiri raanaai ka
ek baar aur maseeha-e-dil-e-dil-zadgan
koi waada koi iquraar maseehaai ka
deeda o dil ko sambhaalo ki sar-e-shaam-e-firaaque
saaz-o-saamaan baham pahuncha hai ruswaai ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai