baat bas se nikal chali hai
ki haalat sambhal chali hai
ab junoon had se badh chala hai
ab tabeeat bahal chali hai
ashk khoonaab ho chale hain
ki rangat badal chali hai
yaa yoonhi bujh rahi hain shamaein
yaa shab-e-hijr tal chali hai
laakh paighaam ho gae hain
jab saba ek pal chali hai
jaao ab so raho sitaaro
dard ki raat dhal chali hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai