ab wahi harf-e-junoon sab ki zaban thahri hai
jo bhi chal nikli hai wo baat kahan thahri hai
aaj tak shaikh ke ikraam mein jo shay thi haraam
ab wahi dushman-e-din raahat-e-jan thahri hai
hai khabar garm ki phirta hai gurezan naaseh
guftugoo aaj sar-e-koo-e-butan thahri hai
hai wahi aariz-e-laila wahi sheerin ka dahan
nigah-e-shauque ghadi bhar ko jahan thahri hai
wasl ki thi toh kis darja subuk guzri thi
hijr ki hai toh kya sakht giran thahri hai
bikhri ik baar toh haath aai hai kab mauj-e-shameem
dil se nikli hai toh kab lab pe fughan thahri hai
dast-e-sayyaad bhi aajiz hai kaf-e-gul-chin bhi
boo-e-gul thahri na bulbul ki zaban thahri hai
aate aate yoonhi dam bhar ko ruki hogi bahaar
jaate jaate yoonhi pal bhar ko khizan thahri hai
ham ne jo tarz-e-fughan ki hai quafas mein ijaad
faiz gulshan mein wahi tarz-e-bayan thahri hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai