ab ke baras dastoor-e-sitam mein kya kya baab izaad hue
jo quatil the maqtool hue jo said the ab sayyaad hue
pahle bhi khizan mein baagh ujde par yoon nahi jaise ab ke baras
saare boote patta patta rawish rawish barbaad hue
pahle bhi tawaaf-e-sham-e-wafa thi rasm mohabbat waalon ki
ham tum se pahle bhi yahan mansoor hue farhaad hue
ik ke murjhaane par kya gulshan mein kohraam macha
ik chehra kumhala jaane se kitne naashaad hue
faiz na ham yoosuf na koi yaaquoob jo ham ko yaad kare
apni kya kanaan mein rahe yaa misr mein ja aabaad hue
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai