ab jo koi poochhe bhi toh us se kya sharah-e-haalaat karein
dil thahre toh sunaaein dard thame toh baat karein
shaam hui phir josh-e-quadah ne bazm-e-hareefan raushan ki
ghar ko aag lagaaein ham bhi raushan apni karein
quatl-e-dil-o-jan apne sar hai apna lahoo apni gardan pe
mohar-b-lab baithe hain kis ka shikwa kis ke saath karein
hijr mein shab bhar dard-o-talab ke chaand sitaare saath rahe
subh ki weeraani mein yaaro kaise basar auquat karein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai