aaj yoon mauj-dar-mauj tham gaya is tarah gham-zadon ko quaraar aa gaya
jaise khush-boo-e-zulf-e- aa gai jaise paighaam-e-deedaar-e-yaar aa gaya
jis ki deed-o-talab waham samjhe the ham roo-b-roo phir sar-e-rahguzaar aa gaya
subh-e-farda ko phir dil tarasne laga umr-e-rafta tira etibaar aa gaya
rut badalne lagi rang-e-dil dekhna rang-e-gulshan se ab haal khulta nahi
zakhm chhalka koi yaa koi gul khila ashk umde ki abr-e-bahaar aa gaya
khoon-e-ushshaaque se jaam bharne lage dil sulagne lage daagh jalne lage
mahfil-e-dard phir rang par aa gai phir shab-e-aarzoo par nikhaar aa gaya
sarafroshi ke andaaz badle gae daawat-e-quatl par maqtal-e-shahar mein
daal kar koi gardan mein tauque aa gaya laad kar koi kaandhe pe daar aa gaya
faiz kya jaaniye yaar kis aas par muntazir hain ki laaega koi khabar
mai-kashon par hua mohatsib meharban dil-figaaron pe quatil ko pyar aa gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai