aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baad aae jo azaab aae
baam-e-meena se maahtaab utre
dast-e-saaqui mein aaftaab aae
har rag-e-khoon mein phir charaaghan ho
saamne phir wo be-naquab aae
umr ke har waraque pe ki nazar
teri mehar-o-wafa ke baab aae
kar raha tha -e-jahan ka hisaab
aaj tum yaad be-hisaab aae
na gai tere gham ki sardaari
dil mein yoon roz inqalaab aae
jal uthe bazm-e-ghair ke dar-o-baam
jab bhi ham khaanuman-kharaab aae
is tarah apni khaamushi goonji
goya har samt se jawaab aae
faiz thi raah sar-b-sar manzil
ham jahan pahunche kaamyaab aae
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
husn se dil laga ke hasti ki
har ghadi ham ne aatishin ki hai
subh gul ho ki shaam mai khana
madh us roo naaznin ki hai
shaikh se be haraas milte hain
ham ne tauba abhi nahi ki hai
zikr dozakh bayaan hoor w qusoor
baat goya yahin kahin ki hai
ashk toh kuchh bhi rang la na sake
khoon se tar aaj aastin ki hai
kaise maanin haram ke sahal pasand
rasm jo aashiquon ke din ki hai