ye pairhan jo miri rooh ka utar na saka
toh nakh-b-nakh kahin paiwast resha-e- tha
mujhe maaal-e- ka malaal kyoon-kar ho
ki jab safar hi mira faaslon ka dhoka tha
main jab firaaque ki raaton mein us ke saath rahi
wo phir wisaal ke lamhon mein kyoon akela tha
wo waaste ki tira darmiyan bhi kyoon aae
khuda ke saath mira jism kyoon na ho tanha
saraab hoon main tiri pyaas kya bujhaaoongi
is ishtiyaaque se tishna zaban quareeb na la
saraab hoon ki badan ki yahi shahaadat hai
har ek uzw mein bahta hai ret ka dariya
jo mere lab pe hai shaayad wahi sadaaqat hai
jo mere dil mein hai us harf-e-raaegan pe na ja
jise main tod chuki hoon wo raushani ka tilism
shua-e-noor-e-azal ke siwa kuchh aur na tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.