kabhi dhanak si utarti thi un nigaahon mein
wo shokh rang bhi dheeme pade hawaaon mein
main tez-gaam chali ja rahi thi us ki samt
kashish ajeeb thi us dasht ki sadaaon mein
wo ik sada jo fareb-e-sada se bhi kam hai
na doob jaae kahin tund-rau hawaaon mein
sukoot-e-shaam hai aur main hoon gosh-bar-aawaaz
ki ek waade ka afsoon sa hai fazaaon mein
miri tarah yoonhi gum-karda- chhodegi
tum apni baanh na dena hawa ki baanhon mein
nuquoosh paanw ke likhte hain -e-naa-yaaft
mira safar toh hai tahreer meri raahon mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.