chaar-soo hai badi wahshat ka saman
kisi aaseb ka hai yahan
koi aawaaz si hai marsiyan-khwan
shahar ka shahar bana goristan
ek makhlooque jo basti hai yahan
jis pe insan ka guzarta hai guman
khud toh saakit hai misaal-e-tasweer
jumbish-e-ghair se hai raqs-kunan
koi chehra nahi juz zer-e-naquab
na koi jism hai juz be--o-jan
ulma hain dushman-e-faham-o-tahqueeque
kodni shewa-e-daanish-mandan
shaair-e-quaum pe ban aai hai
kizb kaise ho tasawwuf mein nihan
lab hain masroof-e-quaseeda-goi
aur aankhon mein hai zillat uryan
sabz khat aaquibat-o-din ke aseer
paarsa khush-tan-o-nau-khez jawan
ye zan-e-naghma-gar-o-ishq-shiaar
yaas-o-hasrat se hui hai hairan
kis se ab aarzoo-e-wasl karein
is kharaabe mein koi mard kahan
Responses
No comments yet. Be the first to respond.