yan ka bistar hai gale mein kafni hai
wan haath mein aaeena hai pairahni hai
haathon se hamein ishq ke din raat nahi chain
fariyaad o fughan din ko hai shab naara-zani hai
hushyaar ho ghaflat se tu ghaafil na ho ai dil
apni toh nazar mein ye jagah be-watni hai
kuchh kah nahi sakta hoon zaban se ki zara dekh
kya jaae hai jis jaae na kuchh dam-zadni hai
mizgan pe mire lakht-e-jigar hi nahi yaaro
is taar se wo rishta aqueeque-e-yamni hai
likh aur ghazal quafiye ko pher zafar tu
ab taba ki dariya ki tiri mauj-zani hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein