yaa mujhe afsar-e-shaahaana banaaya hota
yaa mira taaj gadaayaana banaaya hota
apna banaaya mujhe hota tu ne
kyoon khirad-mand banaaya na banaaya hota
khaaksaari ke liye garche banaaya tha mujhe
kaash -e-dar-e-jaanaana banaaya hota
nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
umr ka tang na paimaana banaaya hota
dil-e-sad-chaak banaaya toh bala se lekin
zulf-e-mushkin ka tire shaana banaaya hota
soofiyon ke jo na tha laayaque-e-sohbat toh mujhe
quabil-e-jalsa-e-rindaana banaaya hota
tha jalaana hi agar doori-e-saaqui se mujhe
toh charaagh-e-dar-e-mai-khana banaaya hota
shola-e-husn chaman mein na dikhaaya us ne
warna bulbul ko bhi parwaana banaaya hota
roz maamoora-e-duniyaa mein kharaabi hai zafar
aisi basti ko toh weeraana banaaya hota
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein