rukh jo zer-e-sumbal-e-pur-pech-o-taab aa jaaega
phir ke burj-e-sumbale mein aaftaab aa jaaega
tera ehsan hoga quasid gar shitaab aa jaaega
mujh ko dekh kar khat ka jawaab aa jaaega
ho na betaab itna gar us ka itaab aa jaaega
tu ghazab mein ai -e-khana-kharaab aa jaaega
is quadar rona nahi behtar bas ab ashkon ko rok
warna toofan dekh ai chashm-e-pur-aab aa jaaega
pesh howega agar tere gunaahon ka hisaab
tang zaalim arsa-e-roz-e-hisaab aa jaaega
dekh kar dast-e-sitam mein teri tegh-e-aabdaar
mere har zakhm-e-jigar ke munh mein aab aa jaaega
apni chashm-e-mast ki gardish na ai saaqui dikha
dekh chakkar mein abhi jaam-e-sharaab aa jaaega
khoob hoga han jo seene se nikal jaaega tu
chain mujh ko ai dil-e-pur-iztiraab aa jaaega
ai zafar uth jaaega jab parda-e-sharm-o-hijaab
saamne wo yaar mere be-hijaab aa jaaega
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein