nibaah baat ka us heela-gar se kuchh na hua
idhar se kya na hua par udhar se kuchh na hua
jawaab-e-saaf toh laata agar na laata khat
likha ka jo naama-bar se kuchh na hua
hamesha fitne hi barpa kiye mire sar par
hua ye aur toh us fitna-gar se kuchh na hua
bala se girya-e- tu hi kuchh asar karta
agarche ishq mein aah-e-sahar se kuchh na hua
jala jala ke kiya shama san tamaam mujhe
bas aur toh mujhe soz-e-jigar se kuchh na hua
rahin adoo se wahi garm-joshiyan us ki
is aah-e-sard aur is chashm-e-tar se kuchh na hua
uthaaya ishq mein kya kya na dard-e-sar main ne
husool par mujhe us dard-e-sar se kuchh na hua
shab-e-wisaal mein bhi meri jaan ko aaraam
azeezo dard-e-judaai ke dar se kuchh na hua
na doonga dil use main ye hamesha kahta tha
wo aaj le hi gaya aur zafar se kuchh na hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein