na us ka bhed yaari se na ayyaari se haath aaya
khuda aagaah hai ki khabardaari se haath aaya
na hon jin ke thikaane hosh wo ko kya pahunche
ki rasta haath aaya jis ki hushyaari se haath aaya
hua haque mein hamare kyoon sitamgar aasman itna
koi poochhe ki zaalim kya sitamgaari se haath aaya
agarche maal-e-duniyaa haath bhi aaya hareeson ke
toh dekha ham ne kis kis zillat-o-khwaari se haath aaya
na kar zaalim dil-aazaari jo ye dil manzoor hai lena
kisi ka dil jo haath aaya toh dildaari se haath aaya
agarche khaaksaari keemiya ka sahal nuskha hai
w-lekin haath aaya jis ke dushwaari se haath aaya
hui hargiz na tere chashm ke beemaar ko sehhat
na jab tak zahar tere khatt-e-zangaari se haath aaya
koi ye wahshi-e-ram-deeda tere haath aaya tha
par ai sayyaad-wash dil ki giraftaari se haath aaya
zafar jo do jahan mein gauhar-e-maqsood tha apna
janaab-e-fakhr-e-din ki wo madad-gaari se haath aaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein