na darweshon ka khirqua chahiye na taaj-e-shaahaana
mujhe toh hosh de itna rahoon main tujh pe deewaana
kitaabon mein dhara hai kya bahut likh likh ke dho daalin
hamare pe naqsh-e-kal-hajr hai tera farmaana
ghaneemat jaan jo dam guzre kaifiyat se gulshan mein
diye ja saaqui-e-paiman-shikan bhar bhar ke paimaana
na dekha wo kahin jalwa jo dekha khana-e- mein
bahut masjid mein sar maara bahut sa dhoonda but-khana
kuchh aisa ho ki jis se manzil-e-maqsood ko pahunchoon
tareeque-e-paarsaai howe yaa ho raah-e-rindaana
ye saari aamad-o-shud hai nafas ki aamad-o-shud par
isi tak aana jaana hai na phir jaana na phir aana
zafar wo zaahid-e-bedard ki hoo-haque se behtar hai
kare gar rind dard-e-dil se haaw-hu-e-mastaana
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein