na daaim hai ne ishrat kabhi yoon hai kabhi woon hai
tabaddul yan hai har saaat kabhi yoon hai kabhi woon hai
gareban-chaak hoon gaahe udaata hoon gaahe
liye phirti mujhe wahshat kabhi yoon hai kabhi woon hai
abhi hain wo mire hamdam abhi ho jaaenge dushman
nahi ik waza par sohbat kabhi yoon hai kabhi woon hai
jo shakl-e-sheesha giryan hoon toh misl-e-jaam khandan hoon
yahi hai yan ki kaifiyyat kabhi yoon hai kabhi woon hai
kisi waqt ashk hain jaari kisi waqt aah aur zaari
gharaz haal-e-gham-e-furqat kabhi yoon hai kabhi woon hai
koi din hai bahaar-e-gul phir aakhir hai khizan bilkul
chaman hai manzil-e-ibrat kabhi yoon hai kabhi woon hai
zafar ik baat par daaim wo howe kis tarah quaim
jo apni pherta niyyat kabhi yoon hai kabhi woon hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein