lagta nahi hai mira ujde dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-naa-paaedaar mein
in hasarton se kah do kahin aur ja basein
itni jagah kahan hai -e-daagh-daar mein
kaanton ko mat nikaal chaman se o baaghban
ye bhi gulon ke saath pale hain bahaar mein
bulbul ko baaghban se na sayyaad se gila
quismat mein quaid likkhi thi fasl-e-bahaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein