kya kahoon maail-e-zulf-e-dota kyoonkar hua
ye bhala changa giraftaar-e-bala kyoonkar hua
jin ko mehraab-b-ibaadat ho kham-e-abroo-e-yaar
un ka kaabe mein kaho sajda ada kyoonkar hua
deeda-e-hairan hamaara tha tumhare zer-e-pa
ham ko hairat hai ki paida naqsh-e-pa kyoonkar hua
naama-bar khat de ke us nau-khat ko tu ne kya kaha
kya khata tujh se hui aur wo khafa kyoonkar hua
khaaksaari kya ajab khowe agar ka ghubaar
khaak se dekho ki aaeena safa kyoonkar hua
jin ko yaktaai ka daawa tha wo misl-e-aaeena
un ko hairat hai ki paida doosra kyoonkar hua
tere daanton ke tasawwur se na tha gar aab-daar
jo baha aansoo wo durr-e-be-baha kyoonkar hua
jo na hona tha hua ham par tumhare ishq mein
tum ne itna bhi na poochha kya hua kyoonkar hua
wo toh hai naa-aashna mashhoor aalam mein zafar
par khuda jaane wo tujh se aashna kyoonkar hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein