jigar ke tukde hue jal ke kabaab hua
ye jaan ko mere koi azaab hua
kiya jo quatl mujhe tum ne khoob kaam kiya
ki main azaab se chhoota tumhein sawaab hua
kabhi toh shefta us ne kaha kabhi shaida
gharaz ki roz naya ik mujhe khitaab hua
piyoon na rashk se khoon kyoonki dam-b-dam apna
ki saath ghair ke wo aaj ham-sharaab hua
tumhare lab ke lab-e-jaam ne liye bose
lab apne kaata kiya main na kaamyaab hua
gali gali tiri khaatir phira b-chashm-e-pur-aab
laga ke tujh se dil apna bahut kharaab hua
tiri gali mein bahaae phire hai sail-e-sarishk
hamaara kaasa-e-sar kya hua habaab hua
jawaab-e-khat ke na likhne se ye hua maaloom
ki aaj se hamein ai naama-bar jawaab hua
mangaai thi tiri tasweer dil ki taskin ko
mujhe toh dekhte hi aur iztiraab hua
sitam tumhare bahut aur din hisaab ka ek
mujhe hai soch ye hi kis tarah hisaab hua
zafar badal ke radeef aur tu ghazal wo suna
ki jis ka tujh se har ik sher intikhaab hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein