jab ki pahloo mein hamare but-e-khud-kaam na ho
girye se shaam-o- kyoon ki hamein kaam na ho
le gaya ka jo aaraam hamare yaa rab
us dil-aaraam ko mutlaque kabhi aaraam na ho
jis ko samjhe lab-e-pan-khurda wo maalida-misi
marduman dekhiyo phooli wo kahin shaam na ho
aaj tashreef gulistan mein wo mai-kash laaya
kaf-e-nargis pe dhara kyoonki bhala jaam na ho
kar mujhe quatl wahan ab ki na ho koi jahan
ta miri jan tu kahin khalque mein badnaam na ho
dekh kar kholiyo tu kaakul-e-pechan ki girah
ki mira taair-e-dil us ke tah-e-daam na ho
bin tire ai but-e-khud-kaam ye dil ko hai khatar
tere aashique ka tamaam aah kahin kaam na ho
aaj har ek jo yaaro nazar aata hai nidhaal
apni abroo ki wo kheenche hue samsaam na ho
hai mire shokh ki baaleeda wo kaafir aankhein
jis ke ham chashm zara nargis-e-baadaam na ho
subh hoti hi nahi aur nahi katti raat
rukh pe khole wo kahin zulph-e-siyaah-faam na ho
ai zafar charkh pe khursheed jo yoon kaampe hai
jalwa-gar aaj kahin yaar lab-e-baam na ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein