jab kabhi mein hote saaya-afgan aap hain
fils-e-maahi ko bataate maah-e-raushan aap hain
seete hain sozan se chaak-e-seena kya ai chaaraasaaz
khaar-e- seene mein apne misl-e-sozan aap hain
pyar se kar ke hamaail ghair ki gardan mein haath
maarte tegh-e-sitam se mujh ko gardan aap hain
kheench kar aankhon mein apni surma-e-dumbaala-daar
karte paida sehar se nargis mein sosan aap hain
dekh kar sahra mein mujh ko pahle ghabraaya tha quais
phir jo pahchaana toh bola hazrat-e-man aap hain
ji dhadakta hai kahin taar-e-rag-e-gul chubh na jaae
sej par phoolon ki karte quasd-e-khuftan aap hain
kya mazaa hai tegh-e-quatil mein ki aksar said-e-ishq
aan kar us par ragadte apni gardan aap hain
mujh se tum kya poochhte ho kaise hain ham kya kahein
ji hi jaane hai ki jaise mushfique-e-man aap hain
pur-ghuroor o pur-takabbur pur-jafa o pur-sitam
pur-fareb o pur-dagha pur-makr o pur-fan aap hain
zulm-pesha zu़lm-shewa zu़lm-raan o zulm-dost
dushman-e-dil dushman-e-jan dushman-e-tan aap hain
yakka-taaz o neza-baaz o arabda-joo tund-khoo
tegh-zan dashna-guzaar o naawak-afgan aap hain
tasma-kash taraaz o ghaarat-gar taaraaj-saaz
kaafir yaghmaai o quazzaaque rahzan aap hain
fitna-joo bedaad-gar saffaak o azlam keena-war
garm-jang o garm-quatl o garm-kushtan aap hain
bad-mizaaj o bad-dimaagh w bad-shiaar o bad-sulook
bad-tareeque o bad-zaban bad-ahad o bad-zan aap hain
be-murawwat bewfa naa-meharban naa-aashna
mere quatil mere haasid mere dushman aap hain
ai zafar kya pa-e-quatil ke hai bose ki hawas
yoon jo bismil ho ke sargarm-e-tapeedan aap hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein